mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha
mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
merā bhī har añg thā bahrā us kā jism bhī gūñgā thā
varna aapas meñ kahne-sunñe ko jaane kyā kyā thā
mere andar se jo mujh meñ diip jalāne niklā thā
jaane kitnī baar vo apne hī saa.e se uljhā thā
is ghar ke chappe chappe par chhāp hai rahne vaale kī
mere jism meñ mujh se pahle shāyad koī rahtā thā
koī pyāsā mil jaa.e to phir lahreñ le saktā huuñ
ab maiñ ġham se suukh gayā huuñ pahle maiñ bhī dariyā thā
mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha
warna aapas mein kahne-sunne ko jaane kya kya tha
mere andar se jo mujh mein dip jalane nikla tha
jaane kitni bar wo apne hi sae se uljha tha
is ghar ke chappe chappe par chhap hai rahne wale ki
mere jism mein mujh se pahle shayad koi rahta tha
koi pyasa mil jae to phir lahren le sakta hun
ab main gham se sukh gaya hun pahle main bhi dariya tha
- Book : Goonj (Pg. 118)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.