mera dil hathon mein lo to kya tumhaara jaega
merā dil hāthoñ meñ lo to kyā tumhārā jā.egā
aur merā hī samarqand o buḳhārā jā.egā
tishnagī kā ek ik pahlū ubhārā jā.egā
vasl kī shab ko bhī furqat meñ guzārā jā.egā
kal ye mansūba banāyā ham ne pī lene ke ba.ad
āsmānoñ ko zamīnoñ par utārā jā.egā
dard jā.egā to kuchh kuchh jā.egā par dekhnā
chain jab jā.egā to saarā kā saarā jā.egā
kuchh nahīñ bolā to mar jā.egā andar se 'shujā.a'
aur agar bolā to phir bāhar se maarā jā.egā
mera dil hathon mein lo to kya tumhaara jaega
aur mera hi samarqand o buKHara jaega
tishnagi ka ek ek pahlu ubhaara jaega
wasl ki shab ko bhi furqat mein guzara jaega
kal ye mansuba banaya hum ne pi lene ke baad
aasmanon ko zaminon par utara jaega
dard jaega to kuchh kuchh jaega par dekhna
chain jab jaega to sara ka sara jaega
kuchh nahin bola to mar jaega andar se 'shujaa'
aur agar bola to phir bahar se mara jaega
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.