Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera hamrah kya mere hamrah

Nand Kishore Anhad

mera hamrah kya mere hamrah

Nand Kishore Anhad

MORE BYNand Kishore Anhad

    merā hamrāh kyā mire hamrāh

    maiñ thakne lagā mire hamrāh

    raah itnī to ye tavīl na thī

    un dinoñ jo thā mire hamrāh

    kyā batā.ūñ vo moḌ aisā thā

    mujh ko muḌnā paḌā mire hamrāh

    baañT le vahshateñ zarā apnī

    ham-safar ho mirā mire hamrāh

    maiñ na hoūñgā saath vāpsī meñ

    yaad rakh rāsta mire hamrāh

    dekhā dekhī Thahar gayā 'anhad'

    dariyā bahtā huā mire hamrāh

    mera hamrah kya mere hamrah

    main hi thakne laga mere hamrah

    rah itni to ye tawil na thi

    un dinon tu jo tha mere hamrah

    kya bataun wo moD aisa tha

    mujh ko muDna paDa mere hamrah

    banT le wahshaten zara apni

    ham-safar ho mera mere hamrah

    main na hounga sath wapsi mein

    yaad rakh rasta mere hamrah

    dekha dekhi Thahar gaya 'anhad'

    dariya bahta hua mere hamrah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now