mera ho kar bhi wo mera nahin hone wala
merā ho kar bhī vo merā nahīñ hone vaalā
vahī andesha hai paiham use khone vaalā
vo kahāñ hai jo mujhe apnī hañsī detā hai
apne ashkoñ se mirī palkeñ bhigone vaalā
aaj phir maañ mujhe māregī bahut rone par
aaj phir gaañv meñ aaya hai khilaune vaalā
ik chaTān aur girī lo mirā baazū bhī gayā
ek kohsār paḌā hai abhī Dhone vaalā
mera ho kar bhi wo mera nahin hone wala
wahi andesha hai paiham use khone wala
wo kahan hai jo mujhe apni hansi deta hai
apne ashkon se meri palken bhigone wala
aaj phir man mujhe maregi bahut rone par
aaj phir ganw mein aaya hai khilaune wala
ek chaTan aur giri lo mera bazu bhi gaya
ek kohsar paDa hai abhi Dhone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.