mera junun sharmsar dekhiye kab tak rahe
merā junūñ sharmsār dekhiye kab tak rahe
fasl-e-ḳhizāñ par bahār dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak bahe dīda-o-dil se lahū
sehn-e-chaman lāla-zār dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak rahe kaj-kulah-e-shahryār
ye ravish-e-tājdār dekhiye kab tak rahe
aaj bhī hai kohkan banda-e-be-dām-e-zar
ishq ġharīb-ud-dayār dekhiye kab tak rahe
aur farozāñ huā sho.ala-e-qindīl-e-shab
gul kā magar e'tibār dekhiye kab tak rahe
dast-e-sabā kaT na jaa.e lauh-o-qalam chhin na jaa.eñ
azmat-e-fan bā-vaqār dekhiye kab tak rahe
ḳhāmushī-o-maslahat be-dilī-o-be-hisī
ahl-e-suḳhan kā shi.ār dekhiye kab tak rahe
mera junun sharmsar dekhiye kab tak rahe
fasl-e-KHizan par bahaar dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak bahe dida-o-dil se lahu
sehn-e-chaman lala-zar dekhiye kab tak rahe
dekhiye kab tak rahe kaj-kulah-e-shahryar
ye rawish-e-tajdar dekhiye kab tak rahe
aaj bhi hai kohkan banda-e-be-dam-e-zar
ishq gharib-ud-dayar dekhiye kab tak rahe
aur farozan hua shoala-e-qindil-e-shab
gul ka magar e'tibar dekhiye kab tak rahe
dast-e-saba kaT na jae lauh-o-qalam chhin na jaen
azmat-e-fan ba-waqar dekhiye kab tak rahe
KHamushi-o-maslahat be-dili-o-be-hisi
ahl-e-suKHan ka shiar dekhiye kab tak rahe
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 512)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.