mera kya tha main TuTa ki bikhra raha
merā kyā thā maiñ TuuTā ki bikhrā rahā
tere hāthoñ meñ to ik khilaunā rahā
ik zarā sī anā ke liye 'umr bhar
tum bhī tanhā rahe maiñ bhī tanhā rahā
tere jaane kā manzar hī ġham-ḳhvār thā
zindagī bhar jo āñkhoñ se lipTā rahā
merā ehsās sadiyoñ pe phailā huā
aisā aañsū jo palkeñ badaltā rahā
ghar kī sab raunaqeñ mujh se aur maiñ 'vasīm'
taaq par ik diye jaisā jaltā rahā
mera kya tha main TuTa ki bikhra raha
tere hathon mein to ek khilauna raha
ek zara si ana ke liye 'umr bhar
tum bhi tanha rahe main bhi tanha raha
tere jaane ka manzar hi gham-KHwar tha
zindagi bhar jo aankhon se lipTa raha
mera ehsas sadiyon pe phaila hua
aisa aansu jo palken badalta raha
ghar ki sab raunaqen mujh se aur main 'wasim'
taq par ek diye jaisa jalta raha
- Book : Mera Kiya (Pg. 92)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.