mera qarza ada kare koi
merā qarza adā kare koī
taak meñ huuñ ḳhatā kare koī
guuñj kī lahr se nikal jā.ūñ
maiñ kahūñ to sunā kare koī
kis ko tāqat hai muskurāne kī
bevafā se vafā kare koī
apnā ehsās ho rahā hai mujhe
mujh se mujh ko judā kare koī
ye zamīñ āsmāñ nahīñ 'sāhil'
kis qadar hausla kare koī
mera qarza ada kare koi
tak mein hun KHata kare koi
gunj ki lahr se nikal jaun
main kahun to suna kare koi
kis ko taqat hai muskurane ki
bewafa se wafa kare koi
apna ehsas ho raha hai mujhe
mujh se mujh ko juda kare koi
ye zamin aasman nahin 'sahil'
kis qadar hausla kare koi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 557)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.