mere aasab moattal nahin hone denge
mere a.asāb mo.attal nahīñ hone deñge
ye parinde mujhe pāgal nahīñ hone deñge
tū ḳhudā hone kī koshish to karegā lekin
ham tujhe aañkh se ojhal nahīñ hone deñge
yaar ik baar parindoñ ko hukūmat de do
ye kisī shahr ko maqtal nahīñ hone deñge
ye jo chehre haiñ yahāñ chāñd se chehre 'tābish'
ye mirā ishq mukammal nahīñ hone deñge
mere aasab moattal nahin hone denge
ye parinde mujhe pagal nahin hone denge
tu KHuda hone ki koshish to karega lekin
hum tujhe aankh se ojhal nahin hone denge
yar ek bar parindon ko hukumat de do
ye kisi shahr ko maqtal nahin hone denge
ye jo chehre hain yahan chand se chehre 'tabish'
ye mera ishq mukammal nahin hone denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.