mere andar ek dastak si kahin hoti rahi
mere andar ek dastak sī kahīñ hotī rahī
zindagī oḌhe hue maiñ be-ḳhabar sotī rahī
koī mausam merī ummīdoñ ko raas aayā nahīñ
fasl añdhiyāroñ kī kaaTī aur diye botī rahī
kahne vaalā ḳhud to sar takiye pe rakh kar so gayā
merī be-chārī kahānī raat bhar rotī rahī
rāste meñ is qadar yādoñ ke dorāhe paḌe
aaj maazī kī saḌak har moḌ par khotī rahī
mere andar ek dastak si kahin hoti rahi
zindagi oDhe hue main be-KHabar soti rahi
koi mausam meri ummidon ko ras aaya nahin
fasl andhiyaron ki kaTi aur diye boti rahi
kahne wala KHud to sar takiye pe rakh kar so gaya
meri be-chaari kahani raat bhar roti rahi
raste mein is qadar yaadon ke dorahe paDe
aaj mazi ki saDak har moD par khoti rahi
- Book : Goonj (Pg. 119)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.