mere ashaar ko mear pe tola jae
mere ash.ār ko me.aar pe tolā jaa.e
fan ko rakh kar kisī fankār pe tolā jaa.e
baat hai tāb-e-nazar kī to haTā kar parda
shauq-e-dīdār ko dīdār pe tolā jaa.e
raas aatī hai unheñ dhuup jo sahrā.ī haiñ
kyoñ unheñ sāya-e-dīvār pe tolā jaa.e
nafrateñ ham ko sahī taul nahīñ saktī haiñ
taulnā hai to hameñ pyaar se tolā jaa.e
dekhiye husn kā me.aar na girne paa.e
is ko mīzān-e-ḳharīdār pe tolā jaa.e
mere ashaar ko mear pe tola jae
fan ko rakh kar kisi fankar pe tola jae
baat hai tab-e-nazar ki to haTa kar parda
shauq-e-didar ko didar pe tola jae
ras aati hai unhen dhup jo sahrai hain
kyon unhen saya-e-diwar pe tola jae
nafraten hum ko sahi taul nahin sakti hain
taulna hai to hamein pyar se tola jae
dekhiye husn ka mear na girne pae
is ko mizan-e-KHaridar pe tola jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.