mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai
mere bhī kuchh gile the magar raat ho ga.ī
kuchh tum bhī ki rahe the magar raat ho ga.ī
duniyā se duur apne barābar khaḌe rahe
ḳhvāboñ meñ jāgte the magar raat ho ga.ī
ā'sāb sun rahe the thakāvaT kī guftugū
uljhan thī mas.ale the magar raat ho ga.ī
āñkhoñ kī raushnī meñ añdhere bikhar ga.e
ḳheme se kuchh jale the magar raat ho ga.ī
ai dil ai mere dil ye sunā hai ki shaam ko
ghar se vo chal paḌe the magar raat ho ga.ī
aisī bhī kyā vafā kī kahānī thī ro paḌe
kuchh silsile chale the magar raat ho ga.ī
kuchh ziine iḳhtiyār ke chaḌhne lagā thā maiñ
kuchh vo utar rahe the magar raat ho ga.ī
dushman kī dostī ne masāfat sameT lī
qadmoñ meñ rāste the magar raat ho ga.ī
'sāhil' fareb-e-fikr hai duniyā kī dāstāñ
kuchh raaz khul chale the magar raat ho ga.ī
mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai
kuchh tum bhi ki rahe the magar raat ho gai
duniya se dur apne barabar khaDe rahe
KHwabon mein jagte the magar raat ho gai
aa'sab sun rahe the thakawaT ki guftugu
uljhan thi masale the magar raat ho gai
aankhon ki raushni mein andhere bikhar gae
KHeme se kuchh jale the magar raat ho gai
ai dil ai mere dil ye suna hai ki sham ko
ghar se wo chal paDe the magar raat ho gai
aisi bhi kya wafa ki kahani thi ro paDe
kuchh silsile chale the magar raat ho gai
kuchh zine iKHtiyar ke chaDhne laga tha main
kuchh wo utar rahe the magar raat ho gai
dushman ki dosti ne masafat sameT li
qadmon mein raste the magar raat ho gai
'sahil' fareb-e-fikr hai duniya ki dastan
kuchh raaz khul chale the magar raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.