mere fardā meñ baḌī duur talak bantī hai
merī bīnā.ī se kohre kī saḌak bantī hai
pahle miTTī se banātī hai pasīna mehnat
phir pasīne se hī miTTī meñ mahak bantī hai
mo'jiza huuñ maiñ mujhe dhuup meñ rakh kar to dekh
mujh se guzre to shu'ā'oñ se dhanak bantī hai
terī yādoñ se hī chaltā hai pata dhaḌkan kā
terī yādoñ se hī dhaḌkan meñ kasak bantī hai
chāhe sachchī ho yā jhūTī koī ummīd banā
isī ummīd se jiine kī lalak bantī hai
mere chehre se hī bantā hai tirā chehra gar
mere shīshe meñ tirī ek jhalak bantī hai
mere farda mein baDi dur talak banti hai
meri binai se kohre ki saDak banti hai
pahle miTTi se banati hai pasina mehnat
phir pasine se hi miTTi mein mahak banti hai
mo'jiza hun main mujhe dhup mein rakh kar to dekh
mujh se guzre to shu'a'on se dhanak banti hai
teri yaadon se hi chalta hai pata dhaDkan ka
teri yaadon se hi dhaDkan mein kasak banti hai
chahe sachchi ho ya jhuTi koi ummid bana
isi ummid se jine ki lalak banti hai
mere chehre se hi banta hai tera chehra gar
mere shishe mein teri ek jhalak banti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.