mere ghar se uski yaadon ke makin jate nahin
mere ghar se us kī yādoñ ke makīñ jaate nahīñ
chhoḌ kar jaise shajar apnī zamīñ jaate nahīñ
tere dar se hī milegā jo bhī miltā hai hameñ
ham tire dar ke alāva ab kahīñ jaate nahīñ
tujh ko dekhe ik zamāna ho gayā par kyā kahīñ
aaj bhī dil se tire naqsh-e-hasīñ jaate nahīñ
ġham diye haiñ zindagī ne ġham se māyūsī nahīñ
chhoḌ kar ab zindagī ko ham kahīñ jaate nahīñ
uḌte phirte haiñ ḳhalāoñ meñ sahāboñ kī tarah
ye vo naale haiñ ki jo zer-e-zamīñ jaate nahīñ
mere ghar se us ki yaadon ke makin jate nahin
chhoD kar jaise shajar apni zamin jate nahin
tere dar se hi milega jo bhi milta hai hamein
hum tere dar ke alawa ab kahin jate nahin
tujh ko dekhe ek zamana ho gaya par kya kahin
aaj bhi dil se tere naqsh-e-hasin jate nahin
gham diye hain zindagi ne gham se mayusi nahin
chhoD kar ab zindagi ko hum kahin jate nahin
uDte phirte hain KHalaon mein sahabon ki tarah
ye wo nale hain ki jo zer-e-zamin jate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.