mere har ek sans mein shirkat hai aah ki
mere har ek saañs meñ shirkat hai aah kī
khaa.e hue huuñ choT tumhārī nigāh kī
kyā ruḳh badal badal ke mujh āshufta-hāl par
parchhā.iyāñ paḌīñ tirī zulf-e-siyāh kī
baḌhtī ga.ī gunāh kī lazzat gunāh meñ
paḌtī ga.ī gunāh se aadat gunāh kī
sab kuchh nibāhnā hai bahut sahl āj-kal
ya.anī nibāh shart nahīñ hai nibāh kī
anjām āshkār hai mujh ġham-nasīb kā
lī hai panāh tere ġham-e-be-panāh kī
mere har ek sans mein shirkat hai aah ki
khae hue hun choT tumhaari nigah ki
kya ruKH badal badal ke mujh aashufta-haal par
parchhaiyan paDin teri zulf-e-siyah ki
baDhti gai gunah ki lazzat gunah mein
paDti gai gunah se aadat gunah ki
sab kuchh nibahna hai bahut sahl aaj-kal
yani nibah shart nahin hai nibah ki
anjam aashkar hai mujh gham-nasib ka
li hai panah tere gham-e-be-panah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.