mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir
mere havās-e-ishq meñ kyā kam haiñ muntashir
majnūñ kā naam ho gayā qismat kī baat hai
dil jis ke haath meñ ho na ho us pe dastaras
be-shak ye ahl-e-dil pe musībat kī baat hai
parvāna reñgtā rahe aur sham.a jal bujhe
is se ziyāda kaun sī zillat kī baat hai
mutlaq nahīñ muhāl ajab maut dahr meñ
mujh ko to ye hayāt hī hairat kī baat hai
tirchhī nazar se aap mujhe dekhte haiñ kyuuñ
dil ko ye chheḌnā hī sharārat kī baat hai
raazī to ho ga.e haiñ vo tāsīr-e-ishq se
mauqa nikālnā so ye hikmat kī baat hai
mere hawas-e-ishq mein kya kam hain muntashir
majnun ka nam ho gaya qismat ki baat hai
dil jis ke hath mein ho na ho us pe dastaras
be-shak ye ahl-e-dil pe musibat ki baat hai
parwana rengta rahe aur shama jal bujhe
is se ziyaada kaun si zillat ki baat hai
mutlaq nahin muhaal ajab maut dahr mein
mujh ko to ye hayat hi hairat ki baat hai
tirchhi nazar se aap mujhe dekhte hain kyun
dil ko ye chheDna hi shararat ki baat hai
raazi to ho gae hain wo tasir-e-ishq se
mauqa nikalna so ye hikmat ki baat hai
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 69)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.