mere hisse mein be-dili aai
mere hisse meñ be-dilī aa.ī
maut aa.ī na zindagī aa.ī
koī manzar khulā na āñkhoñ meñ
jo bhī rut aa.ī shabnamī aa.ī
lahr sī duur tak uThī dil meñ
aaj phir yaad aap kī aa.ī
koī lamha chamak uThā shāyad
varna āñkhoñ meñ kyuuñ namī aa.ī
aa.ina dekhā dekh kar royā
ḳhud ko sochā to phir hañsī aa.ī
ab to har shahr shahr-e-maqtal hai
jo huā aa.ī chīḳhtī aa.ī
āgahī kar ga.ī bahut gumrāh
kaam aa.ī to āshiqī aa.ī
shab bulātī hai vahshatoñ ko 'shamīm'
kyā qayāmat kī chāñdnī aa.ī
mere hisse mein be-dili aai
maut aai na zindagi aai
koi manzar khula na aankhon mein
jo bhi rut aai shabnami aai
lahr si dur tak uThi dil mein
aaj phir yaad aap ki aai
koi lamha chamak uTha shayad
warna aankhon mein kyun nami aai
aaina dekha dekh kar roya
KHud ko socha to phir hansi aai
ab to har shahr shahr-e-maqtal hai
jo hua aai chiKHti aai
aagahi kar gai bahut gumrah
kaam aai to aashiqi aai
shab bulati hai wahshaton ko 'shamim'
kya qayamat ki chandni aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.