mere hujre mein nahin aur kahin par rakh do
mere hujre meñ nahīñ aur kahīñ par rakh do
āsmāñ laa.e ho le aao zamīñ par rakh do
ab kahāñ DhūñDhne jāoge hamāre qātil
aap to qatl kā ilzām hamīñ par rakh do
maiñ ne jis taak pe kuchh TuuTe diye rakkhe haiñ
chāñd tāroñ ko bhī le jā ke vahīñ par rakh do
mere hujre mein nahin aur kahin par rakh do
aasman lae ho le aao zamin par rakh do
ab kahan DhunDhne jaoge hamare qatil
aap to qatl ka ilzam hamin par rakh do
main ne jis tak pe kuchh TuTe diye rakkhe hain
chand taron ko bhi le ja ke wahin par rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.