mere idrak mein sochon ka guzar rahta hai
mere idrāk meñ sochoñ kā guzar rahtā hai
jis tarah dahr meñ lamhoñ kā safar rahtā hai
jaane kis sāzishī māhaul kī sauġhāteñ haiñ
koī muflis to koī sāhab-e-zar rahtā hai
ham uchhāleñge isī shab ke samundar se nujūm
ik yahī jazba-e-nau pesh-e-nazar rahtā hai
jabr-e-hālāt se larze na kahīñ saarī zamīñ
ajnabī ḳhauf sā kyoñ shām-o-sahar rahtā hai
rābta peḌ se kaT jaatā hai jis vaqt safī'
ḳhushk patte ko to jhoñke kā bhī Dar rahtā hai
mere idrak mein sochon ka guzar rahta hai
jis tarah dahr mein lamhon ka safar rahta hai
jaane kis sazishi mahaul ki saughaten hain
koi muflis to koi sahab-e-zar rahta hai
hum uchhaalenge isi shab ke samundar se nujum
ek yahi jazba-e-nau pesh-e-nazar rahta hai
jabr-e-haalat se larze na kahin sari zamin
ajnabi KHauf sa kyon sham-o-sahar rahta hai
rabta peD se kaT jata hai jis waqt safi'
KHushk patte ko to jhonke ka bhi Dar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.