mere jine ki saza ho jaise
mere jiine kī sazā ho jaise
zindagī ek ḳhatā ho jaise
dil ke gulshan se guzar jaatī hai
yaad ik bād-e-sabā ho jaise
yuuñ ḳhayāloñ meñ chale aate ho
koī pāband-e-vafā ho jaise
yaad hai tujh se bichhaḌne kā samāñ
shāḳh se phuul judā ho jaise
apnī bātoñ pe gumāñ hotā hai
tū ne kuchh mujh se kahā ho jaise
us se mil kar huā mahsūs 'asīr'
vo mire saath rahā ho jaise
mere jine ki saza ho jaise
zindagi ek KHata ho jaise
dil ke gulshan se guzar jati hai
yaad ek baad-e-saba ho jaise
yun KHayalon mein chale aate ho
koi paband-e-wafa ho jaise
yaad hai tujh se bichhaDne ka saman
shaKH se phul juda ho jaise
apni baaton pe guman hota hai
tu ne kuchh mujh se kaha ho jaise
us se mil kar hua mahsus 'asir'
wo mere sath raha ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.