Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHadshat kyun nahin samjhe

Zehra Shah

mere KHadshat kyun nahin samjhe

Zehra Shah

MORE BYZehra Shah

    mere ឳhadshāt kyuuñ nahīñ samjhe

    muឳhtasar baat kyoñ nahīñ samjhe

    khiᾌkiyāñ baat karnā chāhtÄ« thiiñ

    ye makānāt kyuuñ nahīñ samjhe

    aap har baat ko samajhte haiñ

    mere jazbāt kyuuñ nahīñ samjhe

    ye zamīñ āsmāñ hamāre the

    ham ishārāt kyuuñ nahīñ samjhe

    kaise kartī yahāñ baġhāvat maiñ

    tum rivāyāt kyuuñ nahīñ samjhe

    ឳhāmushī meñ bhī kuchh takallum the

    ye alāmāt kyuuñ nahīñ samjhe

    ba.az auqāt sochtī huuñ tum

    apnī auqāt kyuuñ nahīñ samjhe

    mere KHadshat kyun nahin samjhe

    muKHtasar baat kyon nahin samjhe

    khiDkiyan baat karna chahti thin

    ye makanat kyun nahin samjhe

    aap har baat ko samajhte hain

    mere jazbaat kyun nahin samjhe

    ye zamin aasman hamare the

    hum ishaaraat kyun nahin samjhe

    kaise karti yahan baghawat main

    tum riwayat kyun nahin samjhe

    KHamushi mein bhi kuchh takallum the

    ye alamat kyun nahin samjhe

    baz auqat sochti hun tum

    apni auqat kyun nahin samjhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now