mere KHurshid o qamar aae nahin
mere ḳhurshīd o qamar aa.e nahīñ
zulmatoñ ke chāra-gar aa.e nahīñ
fasl-e-gul kī ḳhāsiyat ko kyā huā
shāḳh-e-dil par barg-o-bar aa.e nahīñ
ḳhasta-sāmānī hamārī dekhne
log aate the magar aa.e nahīñ
maiñ faqat bāġhoñ kā rakhvālā rahā
mere hisse meñ samar aa.e nahīñ
gadle chohaḌ chīthaḌoñ sī bastiyāñ
ahl-e-dil kyā is nagar aa.e nahīñ
mere KHurshid o qamar aae nahin
zulmaton ke chaara-gar aae nahin
fasl-e-gul ki KHasiyat ko kya hua
shaKH-e-dil par barg-o-bar aae nahin
KHasta-samani hamari dekhne
log aate the magar aae nahin
main faqat baghon ka rakhwala raha
mere hisse mein samar aae nahin
gadle chohaD chithaDon si bastiyan
ahl-e-dil kya is nagar aae nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 581)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.