mere KHush-aind-mustaqbil ka paighambar bhi tu
mere ḳhush-ā.ind-mustaqbil kā paiġhambar bhī tū
merī barbādī kā merī jaan pas-manzar bhī tū
tū ki fitrat kī tarah hai kis tarah tasḳhīr ho
yaar ḳhush-manzar bhī tū ziddī bhī tū ḳhud-sar bhī tū
ik tazād-e-husn-e-ma.anī hai tirī ta.amīr meñ
dastaras meñ bhī giraft-e-vaqt se bāhar bhī tū
tere chehre se ayaañ us ke na milne kā alam
ḳhush-nazar aatā nahīñ us shaḳhs se mil kar bhī tū
mere fan kī saarī zebā.ish tirī nisbat se hai
jo chhupā hai mere sheroñ meñ vo dānish-var bhī tū
ruuh to pahle bhī thī ab ke badan bhī hai asiir
ab to yuuñ lagtā hai jaise ho mirā paikar bhī tū
tū hī sañg-e-mīl hai apne liye sultān-'rashk'
apne hī raste meñ jo haa.il hai vo patthar bhī tū
mere KHush-aind-mustaqbil ka paighambar bhi tu
meri barbaadi ka meri jaan pas-manzar bhi tu
tu ki fitrat ki tarah hai kis tarah tasKHir ho
yar KHush-manzar bhi tu ziddi bhi tu KHud-sar bhi tu
ek tazad-e-husn-e-mani hai teri tamir mein
dastaras mein bhi giraft-e-waqt se bahar bhi tu
tere chehre se ayan us ke na milne ka alam
KHush-nazar aata nahin us shaKHs se mil kar bhi tu
mere fan ki sari zebaish teri nisbat se hai
jo chhupa hai mere sheron mein wo danish-war bhi tu
ruh to pahle bhi thi ab ke badan bhi hai asir
ab to yun lagta hai jaise ho mera paikar bhi tu
tu hi sang-e-mil hai apne liye sultan-'rashk'
apne hi raste mein jo hail hai wo patthar bhi tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.