mere KHush rahne se usko kuchh pareshani na thi
mere ḳhush rahne se us ko kuchh pareshānī na thī
us ko zinda dekh kar mujh ko bhī hairānī na thī
do thake-hāre diloñ ne ik nadī par raat kī
thī magar jazboñ meñ vo pahlī sī tuġhyānī na thī
ruk gayā thā vo mire hujre meñ jaane kis liye
āsmāñ shaffāf thā aur raat tūfānī na thī
teġh-zan ko vaar se pahchān letā thā hadaf
lafz kī ījād se pahle rajaz-ḳhvānī na thī
rafta rafta qahqahoñ ke rañg phīke paḌ ga.e
hoñT the sarsabz lekin vo hañsī dhānī na thī
ek se dīvār-o-dar ko dekhnā thā umr bhar
apnī āñkhoñ ke muqaddar meñ jahāñbānī na thī
vaqt mahñgā ho rahā thā lafz bhī kamyāb the
shā.iroñ ko ḳhvāb bunñe meñ bhī āsānī na thī
mere KHush rahne se us ko kuchh pareshani na thi
us ko zinda dekh kar mujh ko bhi hairani na thi
do thake-haare dilon ne ek nadi par raat ki
thi magar jazbon mein wo pahli si tughyani na thi
ruk gaya tha wo mere hujre mein jaane kis liye
aasman shaffaf tha aur raat tufani na thi
tegh-zan ko war se pahchan leta tha hadaf
lafz ki ijad se pahle rajaz-KHwani na thi
rafta rafta qahqahon ke rang phike paD gae
honT the sarsabz lekin wo hansi dhani na thi
ek se diwar-o-dar ko dekhna tha umr bhar
apni aankhon ke muqaddar mein jahanbani na thi
waqt mahnga ho raha tha lafz bhi kamyab the
shairon ko KHwab bunne mein bhi aasani na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.