mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua
mere ḳhvāboñ kā kabhī jab āsmāñ raushan huā
rahguzār-e-shauq kā ek ik nishāñ raushan huā
ajnabī ḳhushbū kī aahaT se mahak uTThā badan
qahqahoñ ke lams se ḳhauf-e-ḳhizāñ raushan huā
phir mire sar se tayaqqun kā parinda uḌ gayā
phir mire ehsās meñ tāza-gumāñ raushan huā
jaane kitnī gardanoñ kī ho ga.iiñ sham'eñ qalam
tab kahīñ jā kar ye tiira ḳhāk-dāñ raushan huā
shahr meñ zindāñ the jitne sab munavvar ho ga.e
kis jagah dil ko jalāyā thā kahāñ raushan huā
jal gayā jab yaas ke sho'loñ se saarā tan 'zakī'
tab kahīñ ummīd kā dhuñdlā nishāñ raushan huā
mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua
rahguzar-e-shauq ka ek ek nishan raushan hua
ajnabi KHushbu ki aahaT se mahak uTTha badan
qahqahon ke lams se KHauf-e-KHizan raushan hua
phir mere sar se tayaqqun ka parinda uD gaya
phir mere ehsas mein taza-guman raushan hua
jaane kitni gardanon ki ho gain sham'en qalam
tab kahin ja kar ye tera KHak-dan raushan hua
shahr mein zindan the jitne sab munawwar ho gae
kis jagah dil ko jalaya tha kahan raushan hua
jal gaya jab yas ke sho'lon se sara tan 'zaki'
tab kahin ummid ka dhundla nishan raushan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.