mere KHwabon ko mujhse gila rah gaya
mere ḳhvāboñ ko mujh se gila rah gayā
maiñ haqīqat meñ hī mubtalā rah gayā
maiñ bhī qisse sunātā safar ke magar
yaad mujh ko bas ik marhala rah gayā
rah ga.e kitne kirdār bhītar mire
mere bhītar mirā qāfila rah gayā
fāsloñ meñ rahā qurbatoñ kā gumāñ
qurbatoñ meñ kahīñ fāsla rah gayā
ḳhairiyat pūchhnā aur batānā kabhī
nisbatoñ meñ yahī silsila rah gayā
koī kundan huā to koī ko.elā
ek maiñ hī thā jo adh-jalā rah gayā
taul ke beche the maiñ ne TukḌe sabhī
jaane kaise ye dil antulā rah gayā
zindagī jī to lī shartoñ pe apnī ab
kyā karūñ is kā ye jo sila rah gayā
mere KHwabon ko mujh se gila rah gaya
main haqiqat mein hi mubtala rah gaya
main bhi qisse sunata safar ke magar
yaad mujh ko bas ek marhala rah gaya
rah gae kitne kirdar bhitar mere
mere bhitar mera qafila rah gaya
faslon mein raha qurbaton ka guman
qurbaton mein kahin fasla rah gaya
KHairiyat puchhna aur batana kabhi
nisbaton mein yahi silsila rah gaya
koi kundan hua to koi koela
ek main hi tha jo adh-jala rah gaya
taul ke beche the main ne TukDe sabhi
jaane kaise ye dil antula rah gaya
zindagi ji to li sharton pe apni ab
kya karun is ka ye jo sila rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.