mere lab par agar kabhi aai
mere lab par agar kabhī aa.ī
raqs kartī huī hañsī aa.ī
un ke mujh par sitam baḌhe jab se
dard dil meñ bahut kamī aa.ī
hañste hañste nikal paḌe aañsū
rote rote kabhī hañsī aa.ī
raqs karne lage mire armāñ
yaad jab un kī jhūmtī aa.ī
mish.al-e-rāh ban ke ai 'tābāñ'
un ke jalvoñ kī raushnī aa.ī
mere lab par agar kabhi aai
raqs karti hui hansi aai
un ke mujh par sitam baDhe jab se
dard dil mein bahut kami aai
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
raqs karne lage mere arman
yaad jab un ki jhumti aai
mishal-e-rah ban ke ai 'taban'
un ke jalwon ki raushni aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.