mere lab par hansi jo aai hai
mere lab par hañsī jo aa.ī hai
vo bhī apnī nahīñ parā.ī hai
kyā bharosa kare vo phūloñ par
jis ne ḳhushbū se choT khaa.ī hai
maan lī haar us ne bādal se
ye to sūraj kī jag-hañsā.ī hai
band haiñ saarī khiḌkiyāñ ghar kī
ai havā tū kidhar se aa.ī hai
bijliyoñ ko sazā na de bādal
aag to barf ne lagā.ī hai
kyā kisī ko dikhā.e muñh tūfāñ
maat us ne diye se khaa.ī hai
ai zamīñ tū na kūdnā is meñ
chāñd sūraj kī vo laḌā.ī hai
pyaas se baat tak na kī us ne
ye to dariyā kī kaj-adā.ī hai
ai 'qamar' merī ek ek ġhazal
mere taḳh.īl kī kamā.ī hai
mere lab par hansi jo aai hai
wo bhi apni nahin parai hai
kya bharosa kare wo phulon par
jis ne KHushbu se choT khai hai
man li haar us ne baadal se
ye to suraj ki jag-hansai hai
band hain sari khiDkiyan ghar ki
ai hawa tu kidhar se aai hai
bijliyon ko saza na de baadal
aag to barf ne lagai hai
kya kisi ko dikhae munh tufan
mat us ne diye se khai hai
ai zamin tu na kudna is mein
chand suraj ki wo laDai hai
pyas se baat tak na ki us ne
ye to dariya ki kaj-adai hai
ai 'qamar' meri ek ek ghazal
mere taKHil ki kamai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.