mere liye hazar kare ehtimam hirs
mere liye hazār kare ehtimām hirs
maiñ vo hoñ mujh pe Daal sakegī na daam hirs
hai kuchh na kuchh har aadmī ko lā-kalām hirs
lekin na is qadar ki banā le ġhulām hirs
ai zulf phail phail ke ruḳhsār ko na Dhāñk
kar nīm-roz kī na shah-e-mulk-e-shām hirs
vaa.iz sharāb-o-hūr kī ulfat meñ ġharq hai
hai sar se paañv tak ye sitam-gar tamām hirs
dil chhīn āshiqoñ ke magar hoshiyār rah
aisā na ho ki dil ko banā le ġhulām hirs
nāqis raheñge saare talavvun se kārobār
karne na degī tujh ko yahāñ koī kaam hirs
qabza uThā.egī na dil-e-rozgār se
jab tak na zindagī kā kare iḳhtitām hirs
muddat se ishtiyāq hai bos-o-kanār kā
gar hukm ho shurūa kare apnā kaam hirs
'parvīñ' lagī huī hai ḳhudā se mujhe umiid
dil ko mire banā.e na apnā ġhulām hirs
mere liye hazar kare ehtimam hirs
main wo hon mujh pe Dal sakegi na dam hirs
hai kuchh na kuchh har aadmi ko la-kalam hirs
lekin na is qadar ki bana le ghulam hirs
ai zulf phail phail ke ruKHsar ko na Dhank
kar nim-roz ki na shah-e-mulk-e-sham hirs
waiz sharab-o-hur ki ulfat mein gharq hai
hai sar se panw tak ye sitam-gar tamam hirs
dil chhin aashiqon ke magar hoshiyar rah
aisa na ho ki dil ko bana le ghulam hirs
naqis rahenge sare talawwun se karobar
karne na degi tujh ko yahan koi kaam hirs
qabza uThaegi na dil-e-rozgar se
jab tak na zindagi ka kare iKHtitam hirs
muddat se ishtiyaq hai bos-o-kanar ka
gar hukm ho shurua kare apna kaam hirs
'parwin' lagi hui hai KHuda se mujhe umid
dil ko mere banae na apna ghulam hirs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.