mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani
mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani
Mohammad Ahmad Ramz
MORE BYMohammad Ahmad Ramz
mere liye kyā shor bhañvar kā kyā maujoñ kī ravānī
merī pyaas ke sāhil tak hai terā bahtā paanī
saare imkānāt meñ raushan sirf yahī do pahlū
ek tirā ā.īna-ḳhāna ik merī hairānī
aaj huuñ maiñ apne bistar par karvaT karvaT bojhal
merī niiñd se aa kar uljhī ik be-rañg kahānī
milnā-jalnā rasm hī Thahrā phir kyā shikva-shikāyat
taaza zaḳhm koī de jaao chhoḌo baat purānī
maiñ huuñ ik dilchasp tamāshā duniyā hai ik melā
merā chehra ban jaatī hai har sūrat an-jānī
panchhī ke do paroñ ke nīche simTā saarā samundar
apne zarf kī gahrā.ī meñ Duub ga.ī tuġhyānī
aaj chalo āvāra phireñ ham shahr meñ galiyoñ galiyoñ
'ramz' ho kuchh tum bhī man-maujī ham bhī haiñ sailānī
mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani
meri pyas ke sahil tak hai tera bahta pani
sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani
aaj hun main apne bistar par karwaT karwaT bojhal
meri nind se aa kar uljhi ek be-rang kahani
milna-jalna rasm hi Thahra phir kya shikwa-shikayat
taza zaKHm koi de jao chhoDo baat purani
main hun ek dilchasp tamasha duniya hai ek mela
mera chehra ban jati hai har surat an-jaani
panchhi ke do paron ke niche simTa sara samundar
apne zarf ki gahrai mein Dub gai tughyani
aaj chalo aawara phiren hum shahr mein galiyon galiyon
'ramz' ho kuchh tum bhi man-mauji hum bhi hain sailani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.