mere mughanni tujhe kya ho gaya
mere muġhannī tujhe kyā ho gayā
naġhma bhī andoh-fazā ho gayā
tū ne mire dard kā darmāñ kiyā
aur bhī kuchh dard sivā ho gayā
nik.hat-e-gul se bhī lagī dil pe choT
ġhuncha jahāñ chāk-qabā ho gayā
haa.e vo māthā jo huā dāġh-dār
haif vo sajda jo adā ho gayā
ek ġhazal ham ne paḌhī thī ki 'shor'
hashr sar-e-bazm bapā ho gayā
mere mughanni tujhe kya ho gaya
naghma bhi andoh-faza ho gaya
tu ne mere dard ka darman kiya
aur bhi kuchh dard siwa ho gaya
nikhat-e-gul se bhi lagi dil pe choT
ghuncha jahan chaak-qaba ho gaya
hae wo matha jo hua dagh-dar
haif wo sajda jo ada ho gaya
ek ghazal hum ne paDhi thi ki 'shor'
hashr sar-e-bazm bapa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.