Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi

Riyaz Khairabadi

mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    mere pahlū meñ hamesha rahī sūrat achchhī

    maiñ bhī achchhā mirī qismat bhī nihāyat achchhī

    aap shakl bhalī aap sūrat achchhī

    aap ke taur bure aap se nafrat achchhī

    hashr ke din hameñ sūjhī ye sharārat achchhī

    le chale ḳhuld meñ ham dekh ke sūrat achchhī

    tujh se kahtā thā koī tirī tasvīr se aaj

    āñkheñ achchhī tirī āñkhoñ muravvat achchhī

    ham ne sau baar shab-e-vasl milā kar dekhā

    ai falak chāñd se vo chāñd sūrat achchhī

    na bane kaam to kis kaam nāzuk shakleñ

    nāzuk achchhe na hasīnoñ nazākat achchhī

    us se koī nahīñ achchhā jo tujhe pyaar kare

    maiñ bhī achchhā tire sadqe mirī qismat achchhī

    terī madfan se jo uTThe vo barī ai vā'iz

    un ke Thokar se jo uTThe vo qayāmat achchhī

    jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardūñ se

    aur un se tirī āñkhoñ nadāmat achchhī

    muñh meñ jab baat rukī chuum liyā pyaar se muñh

    dam-e-taqrīr kisī shoḳh luknat achchhī

    dekhte kisī kāfir ko bigaḌ jaatī hai

    maiñ jo chāhūñ bhī to rahtī nahīñ niyyat achchhī

    husn-e-sūrat tarah husn-e-suḳhan hai kam-yāb

    ek hotī hai hazāroñ meñ tabī'at achchhī

    tujh se jaltā hai jo vo aur jalāte haiñ use

    mire haq meñ mire dushman 'adāvat achchhī

    aate jaate nazar aatī hai jhalak chilman se

    parde parde meñ nikal aa.ī ye sūrat achchhī

    ḳhūgar-e-ġham ke liye kuchh bhī nahīñ 'aish ḳhvāb

    aisī rāhat se hamesha musībat achchhī

    de ke vo bosa-e-lab shauq se leñ dil merā

    'uzr kyā hai jo mile maal qīmat achchhī

    sun ke ash’ār mire sab yahī kahte haiñ 'riyāz'

    is qismat hai burī aur tabī'at achchhī

    mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi

    main bhi achchha meri qismat bhi nihayat achchhi

    aap ki shakl bhali aap ki surat achchhi

    aap ke taur bure aap se nafrat achchhi

    hashr ke din hamein sujhi ye shararat achchhi

    le chale KHuld mein hum dekh ke surat achchhi

    tujh se kahta tha koi ya teri taswir se aaj

    aankhen achchhi teri aankhon ki murawwat achchhi

    hum ne sau bar shab-e-wasl mila kar dekha

    ai falak chand se wo chand si surat achchhi

    na bane kaam to kis kaam ki nazuk shaklen

    nazuk achchhe na hasinon ki nazakat achchhi

    us se koi nahin achchha jo tujhe pyar kare

    main bhi achchha tere sadqe meri qismat achchhi

    teri madfan se jo uTThe wo bari ai wa'iz

    un ke Thokar se jo uTThe wo qayamat achchhi

    jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardun se

    aur un se teri aankhon ki nadamat achchhi

    munh mein jab baat ruki chum liya pyar se munh

    dam-e-taqrir kisi shoKH ki luknat achchhi

    dekhte hi kisi kafir ko bigaD jati hai

    main jo chahun bhi to rahti nahin niyyat achchhi

    husn-e-surat ki tarah husn-e-suKHan hai kam-yab

    ek hoti hai hazaron mein tabi'at achchhi

    tujh se jalta hai jo wo aur jalate hain use

    mere haq mein mere dushman ki 'adawat achchhi

    aate jate nazar aati hai jhalak chilman se

    parde parde mein nikal aai ye surat achchhi

    KHugar-e-gham ke liye kuchh bhi nahin 'aish ka KHwab

    aisi rahat se hamesha ki musibat achchhi

    de ke wo bosa-e-lab shauq se len dil mera

    'uzr kya hai jo mile mal ki qimat achchhi

    sun ke ash’ar mere sab yahi kahte hain 'riyaz'

    is ki qismat hai buri aur tabi'at achchhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now