mere qadmon se ek rahguzar bandh kar
mere qadmoñ se ik rahguzar bāñdh kar
chhīn lī us ne manzil safar bāñdh kar
kyā zamīñ dekhnā kyā falak dekhnā
us ne chhoḌā mujhe mere par bāñdh kar
umr-e-rafta kī yādeñ sañbhāle hue
ghar se niklī huuñ nazroñ meñ ghar bāñdh kar
merī nazroñ meñ jachtā na thā ye jahāñ
us ne jaadū kiyā thā nazar bāñdh kar
ik rivāyat na.ī Dālnī hai mujhe
misra-e-tar meñ bhī chashm-e-tar bāñdh kar
mere rab ne mujhe mo'atabar kar diyā
mere nok-e-qalam se hunar bāñdh kar
mere qadmon se ek rahguzar bandh kar
chhin li us ne manzil safar bandh kar
kya zamin dekhna kya falak dekhna
us ne chhoDa mujhe mere par bandh kar
umr-e-rafta ki yaaden sanbhaale hue
ghar se nikli hun nazron mein ghar bandh kar
meri nazron mein jachta na tha ye jahan
us ne jadu kiya tha nazar bandh kar
ek riwayat nai Dalni hai mujhe
misra-e-tar mein bhi chashm-e-tar bandh kar
mere rab ne mujhe mo'atabar kar diya
mere nok-e-qalam se hunar bandh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.