mere rone par hansi achchhi nahin
mere rone par hañsī achchhī nahīñ
bas jī bas ye dil-lagī achchhī nahīñ
dil lagī kā bhī na ronā ho kahīñ
har ghaḌī kī ye hañsī achchhī nahīñ
nāzukī kā uzr rahne dījiye
baat ai jaañ bas yahī achchhī nahīñ
aa ke baiThā aur jaane kī paḌī
bas yahī to ḳhū tirī achchhī nahīñ
kaun sī 'kaifī' burī hai mujh meñ baat
haañ ye ik qismat mirī achchhī nahīñ
mere rone par hansi achchhi nahin
bas ji bas ye dil-lagi achchhi nahin
dil lagi ka bhi na rona ho kahin
har ghaDi ki ye hansi achchhi nahin
nazuki ka uzr rahne dijiye
baat ai jaan bas yahi achchhi nahin
aa ke baiTha aur jaane ki paDi
bas yahi to KHu teri achchhi nahin
kaun si 'kaifi' buri hai mujh mein baat
han ye ek qismat meri achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.