Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere rone pe ye hansi kaisi

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

mere rone pe ye hansi kaisi

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    mere rone pe ye hañsī kaisī

    ai sitamgar ye dil-lagī kaisī

    khul ga.ī phir koī rag-e-dil kyā

    dīda-e-ḳhushk haiñ namī kaisī

    hosh hai tujh ko ḳhaak ke putle

    ye tamarrud ye sar-kashī kaisī

    thā ye ik imtihāñ tabī.at

    varna nāseh se dostī kaisī

    ro rahā huuñ isī tasavvur meñ

    thī ye mujh ko zindagī kaisī

    ab to is dar tak aa ga.e ho 'azīz'

    sambhlo sambhlo ye be-ḳhudī kaisī

    mere rone pe ye hansi kaisi

    ai sitamgar ye dil-lagi kaisi

    khul gai phir koi rag-e-dil kya

    dida-e-KHushk hain nami kaisi

    hosh hai tujh ko KHak ke putle

    ye tamarrud ye sar-kashi kaisi

    tha ye ek imtihan tabiat ka

    warna naseh se dosti kaisi

    ro raha hun isi tasawwur mein

    di thi ye mujh ko zindagi kaisi

    ab to is dar tak aa gae ho 'aziz'

    sambhlo sambhlo ye be-KHudi kaisi

    Source :
    • Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now