mere sang-e-mazar par farhad
mere sañg-e-mazār par farhād
rakh ke tesha kahe hai yā ustād
ham se bin marg kyā judā ho malāl
jaan ke saath hai dil-e-nāshād
muuñd āñkheñ safar adam kā kar
bas hai dekhā na ālam-e-ījād
fikr-e-tāmīr meñ na rah mun.im
zindagānī kī kuchh bhī hai buniyād
ḳhaak bhī sar pe Dālne ko nahīñ
kis ḳharābe meñ ham hue ābād
sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye naala o fariyād
lagtī hai kuchh sumūm sī to nasīm
ḳhaak kis diljale kī barbād
bhūlā jaa.e hai ġham-e-butāñ meñ jī
ġharaz aatā hai phir ḳhudā hī yaad
tere qaid-e-qafas kā kyā shikva
naale apne se apne se fariyād
har taraf haiñ asiir ham-āvāz
baaġh hai ghar tirā to ai sayyād
ham ko marnā ye hai ki kab hoñ kahīñ
apnī qaid-e-hayāt se āzād
aisā vo shoḳh hai ki uThte sub.h
jaanā so jaa.e us kī hai mo'tād
nahīñ sūrat-pazīr naqsh us kā
yuuñ hī tasdīq khīñche hai bahzād
ḳhuub hai ḳhaak se buzurgoñ kī
chāhnā to mire ta.iiñ imdād
par muravvat kahāñ kī hai ai 'mīr'
tū hī mujh diljale ko kar irshād
nā-murādī ho jis pe parvāna
vo jalātā phire charāġh-e-murād
mere sang-e-mazar par farhad
rakh ke tesha kahe hai ya ustad
hum se bin marg kya juda ho malal
jaan ke sath hai dil-e-nashad
mund aankhen safar adam ka kar
bas hai dekha na aalam-e-ijad
fikr-e-tamir mein na rah munim
zindagani ki kuchh bhi hai buniyaad
KHak bhi sar pe Dalne ko nahin
kis KHarabe mein hum hue aabaad
sunte ho Tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye nala o fariyaad
lagti hai kuchh sumum si to nasim
KHak kis diljale ki barbaad
bhula jae hai gham-e-butan mein ji
gharaz aata hai phir KHuda hi yaad
tere qaid-e-qafas ka kya shikwa
nale apne se apne se fariyaad
har taraf hain asir ham-awaz
bagh hai ghar tera to ai sayyaad
hum ko marna ye hai ki kab hon kahin
apni qaid-e-hayat se aazad
aisa wo shoKH hai ki uThte subh
jaana so jae us ki hai mo'tad
nahin surat-pazir naqsh us ka
yun hi tasdiq khinche hai bahzad
KHub hai KHak se buzurgon ki
chahna to mere tain imdad
par murawwat kahan ki hai ai 'mir'
tu hi mujh diljale ko kar irshad
na-muradi ho jis pe parwana
wo jalata phire charagh-e-murad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.