mere taDapne ne tamasha kiya
mere taḌapne ne tamāshā kiyā
vo nigah-e-shauq se dekhā kiyā
ashk ne kiiñ ishq kī ġhammāziyāñ
rāz-e-darūñ aañkh ne ifshā kiyā
balbe ḳhalish ḳhanjar-e-bedād kī
siina ko labrez-e-tamannā kiyā
jo na huā aap se behtar huā
jo na kiyā aap ne achchhā kiyā
va.ada-e-jāñ-bāzī-e-ulfat 'nasīm'
tū ne ye dīvāne sitam kyā kiyā
mere taDapne ne tamasha kiya
wo nigah-e-shauq se dekha kiya
ashk ne kin ishq ki ghammaziyan
raaz-e-darun aankh ne ifsha kiya
balbe KHalish KHanjar-e-bedad ki
sina ko labrez-e-tamanna kiya
jo na hua aap se behtar hua
jo na kiya aap ne achchha kiya
wada-e-jaan-bazi-e-ulfat 'nasim'
tu ne ye diwane sitam kya kiya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 151)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.