meri aankhon ka KHwab tha koi
merī āñkhoñ kā ḳhvāb thā koī
ruuh kā iztirāb thā koī
hai faqat aaj dil meñ tanhā.ī
kal talak be-hisāb thā koī
chāñd ġhairat se chhup gayā kal bhī
chhat pe phir be-naqāb thā koī
ham jise chuum kar hue zaḳhmī
ḳhaar jaisā gulāb thā koī
un kī mahfil meñ jo huā rusvā
ham sā ḳhāna-ḳharāb thā koī
kyuuñ ye 'zuhaib' chaḌh gayā suulī
ishq kā inqalāb thā koī
meri aankhon ka KHwab tha koi
ruh ka iztirab tha koi
hai faqat aaj dil mein tanhai
kal talak be-hisab tha koi
chand ghairat se chhup gaya kal bhi
chhat pe phir be-naqab tha koi
hum jise chum kar hue zaKHmi
KHar jaisa gulab tha koi
un ki mahfil mein jo hua ruswa
hum sa KHana-KHarab tha koi
kyun ye 'zuhaib' chaDh gaya suli
ishq ka inqalab tha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.