meri aankhon ko baKHshe hain aansu dil ko dagh-e-alam de gae hain
merī āñkhoñ ko baḳhshe haiñ aañsū dil ko dāġh-e-alam de ga.e haiñ
is ināyat pe qurbān jā.ūñ pyaar māñgā thā ġham de ga.e haiñ
dene aa.e the ham ko tasallī vo tasallī to kyā ham ko dete
toḌ kar ka.aba-e-dil hamārā hasratoñ ke sanam de ga.e haiñ
dil taḌaptā hai fariyād kar ke aañkh Dartī hai aañsū bahā ke
aisī ulfat se vo jaate jaate mujh ko apnī qasam de ga.e haiñ
marhabā mai-kashoñ kā muqaddar ab to piinā ibādat hai 'anvar'
aaj rindoñ ko piine kī dāvat vā.iz-e-mohtaram de ga.e haiñ
meri aankhon ko baKHshe hain aansu dil ko dagh-e-alam de gae hain
is inayat pe qurban jaun pyar manga tha gham de gae hain
dene aae the hum ko tasalli wo tasalli to kya hum ko dete
toD kar kaba-e-dil hamara hasraton ke sanam de gae hain
dil taDapta hai fariyaad kar ke aankh Darti hai aansu baha ke
aisi ulfat se wo jate jate mujh ko apni qasam de gae hain
marhaba mai-kashon ka muqaddar ab to pina ibaadat hai 'anwar'
aaj rindon ko pine ki dawat waiz-e-mohtaram de gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.