meri aankhon mein kyon jami si hai
merī āñkhoñ meñ kyoñ jamī sī hai
ek rasta hai ik galī sī hai
us ne chhoḌā thā merā haath jahāñ
merī duniyā vahāñ thamī sī hai
qābil-e-zikr to sulūk nahīñ
kyoñ tirī yaad lāzmī sī hai
zindagī raakh ho ga.ī hai magar
raakh meñ koī raushnī sī hai
koī rishta nahīñ kisī se yahāñ
apnī fitrat bhī kuchh valī sī hai
meri aankhon mein kyon jami si hai
ek rasta hai ek gali si hai
us ne chhoDa tha mera hath jahan
meri duniya wahan thami si hai
qabil-e-zikr to suluk nahin
kyon teri yaad lazmi si hai
zindagi rakh ho gai hai magar
rakh mein koi raushni si hai
koi rishta nahin kisi se yahan
apni fitrat bhi kuchh wali si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.