meri aankhon mein nur bhar dena
merī āñkhoñ meñ nuur bhar denā
chāhe phir chuur chuur kar denā
āshiyāna banā rahā huuñ maiñ
rizq denā to shāḳh par denā
fitrat-e-dahr kā bharam rah jaa.e
dil kī nadiyā ko ik bhañvar denā
tanhā tanhā batā kaTe kyuuñ kar
gar safar de to ham-safar denā
kitnī māyūsiyāñ haiñ lahrā.ī
zindagī ko na.ī sahar denā
aag bhaḌkegī zahr utregā
husn ko ishq kī nazar denā
meri aankhon mein nur bhar dena
chahe phir chur chur kar dena
aashiyana bana raha hun main
rizq dena to shaKH par dena
fitrat-e-dahr ka bharam rah jae
dil ki nadiya ko ek bhanwar dena
tanha tanha bata kaTe kyun kar
gar safar de to ham-safar dena
kitni mayusiyan hain lahrai
zindagi ko nai sahar dena
aag bhaDkegi zahr utrega
husn ko ishq ki nazar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.