meri aankhon mein ye KHala kya hai
merī āñkhoñ meñ ye ḳhalā kyā hai
tū agar saath hai judā kyā hai
maiñ jo apnī tarah nahīñ lagtā
tum se mil kar mujhe huā kyā hai
darj is meñ haiñ ḳhvāhisheñ sab kī
mere chehre meñ ab mirā kyā hai
mere har naqsh kā pata hai use
aa.ina mujh ko jāntā kyā hai
rāste kī talāsh hai sab ko
ab sivā is ke rāsta kyā hai
meri aankhon mein ye KHala kya hai
tu agar sath hai juda kya hai
main jo apni tarah nahin lagta
tum se mil kar mujhe hua kya hai
darj is mein hain KHwahishen sab ki
mere chehre mein ab mera kya hai
mere har naqsh ka pata hai use
aaina mujh ko jaanta kya hai
raste ki talash hai sab ko
ab siwa is ke rasta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.