meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aana
merī āñkhoñ se guzar kar dil o jaañ meñ aanā
jism meñ Dhal ke mirī rūh-e-ravāñ meñ aanā
kho na jaanā mirī jaañ sarhad-e-jāñ tak aa ke
qurb kā paas liye buad-e-karāñ meñ aanā
maiñ tire husn ko ra.anā.ī-e-ma.anī de duuñ
tū kisī shab mire andāz-e-bayāñ meñ aanā
saath chalne ko rafīq-e-rah-e-duniyā haiñ bahut
tū mire saath mire apne jahāñ meñ aanā
lā-makāñ sher kī bandish meñ simaTnā pal bhar
āsmāñ ā.īna-e-āb-e-ravāñ meñ aanā
ishq ne dekh liye husn meñ āfāq tamām
ek sakte kā vo umr-e-guzrāñ meñ aanā
zīnat-e-dast-e-hinā.ī hai yahī duzd-e-hinā
ġhaib kā ma.araza-e-vaqt-o-makāñ meñ aanā
tishna-e-nūr mirī fikr ke mahtāb o nujūm
mire ḳhurshīd mirī kāhkashāñ meñ aanā
meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aana
jism mein Dhal ke meri ruh-e-rawan mein aana
kho na jaana meri jaan sarhad-e-jaan tak aa ke
qurb ka pas liye buad-e-karan mein aana
main tere husn ko ranai-e-mani de dun
tu kisi shab mere andaz-e-bayan mein aana
sath chalne ko rafiq-e-rah-e-duniya hain bahut
tu mere sath mere apne jahan mein aana
la-makan sher ki bandish mein simaTna pal bhar
aasman aaina-e-ab-e-rawan mein aana
ishq ne dekh liye husn mein aafaq tamam
ek sakte ka wo umr-e-guzran mein aana
zinat-e-dast-e-hinai hai yahi duzd-e-hina
ghaib ka maraza-e-waqt-o-makan mein aana
tishna-e-nur meri fikr ke mahtab o nujum
mere KHurshid meri kahkashan mein aana
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.