meri afsurdagi se lutf uThane wale
merī afsurdagī se lutf uThāne vaale
kitne zālim haiñ ye sab log zamāne vaale
log hañste haiñ udāsī meñ taḌaptā huuñ jab
ek to dard hai uupar se satāne vaale
pyaar apnī jagah par ek shikāyat hai mujhe
tum ne aane meñ bahut der kī aane vaale
maiñ kabhī paas chalā jaatā thā rone ke liye
aur kabhī zehn meñ aa jaate rulāne vaale
ik taraf rañj bulātā hai musalsal mujh ko
dūsrī aur mujhe rañj bulāne vaale
markaz-e-karb kā 'ahmad' jo chhiḌe zikr kahīñ
jaane kyoñ terā batāte haiñ batāne vaale
meri afsurdagi se lutf uThane wale
kitne zalim hain ye sab log zamane wale
log hanste hain udasi mein taDapta hun jab
ek to dard hai upar se satane wale
pyar apni jagah par ek shikayat hai mujhe
tum ne aane mein bahut der ki aane wale
main kabhi pas chala jata tha rone ke liye
aur kabhi zehn mein aa jate rulane wale
ek taraf ranj bulata hai musalsal mujh ko
dusri aur mujhe ranj bulane wale
markaz-e-karb ka 'ahmad' jo chhiDe zikr kahin
jaane kyon tera batate hain batane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.