meri ankhon ka sukun dil ke ujale mere
merī añkhoñ kā sukūñ dil ke ujāle mere
bas ga.e jaane kahāñ chāhne vaale mere
koī is dasht meñ qālīn bichhāne se rahā
liye phirte haiñ kahāñ paañv ke chhāle mere
terī sohbat meñ ḳhushī kā to Thikāna hī na thā
ab sañbhalte hī nahīñ ashk sañbhāle mere
mujh ko āvāz lagātā hai junūñ manzil kā
koī ab paañv meñ zanjīr na Daale mere
ap aa.e hī nahīñ qasr-e-anā se bāhar
aur galiyoñ meñ bhaTakte rahe naale mere
merī añkhoñ meñ raheñge to bikhar jā.eñge
apnī palkoñ pe koī ḳhvāb sajā le mere
zar luTāne meñ tumheñ dard bhī ho kyoñ beTe
tum ne dekhe hī kahāñ haath ke chhāle mere
aaj phirte haiñ jo Dasne ke liye ai 'dānish'
kyā batā.ūñ ki ye sab saañp haiñ paale mere
meri ankhon ka sukun dil ke ujale mere
bas gae jaane kahan chahne wale mere
koi is dasht mein qalin bichhane se raha
liye phirte hain kahan panw ke chhaale mere
teri sohbat mein KHushi ka to Thikana hi na tha
ab sanbhalte hi nahin ashk sanbhaale mere
mujh ko aawaz lagata hai junun manzil ka
koi ab panw mein zanjir na Dale mere
ap aae hi nahin qasr-e-ana se bahar
aur galiyon mein bhaTakte rahe nale mere
meri ankhon mein rahenge to bikhar jaenge
apni palkon pe koi KHwab saja le mere
zar luTane mein tumhein dard bhi ho kyon beTe
tum ne dekhe hi kahan hath ke chhaale mere
aaj phirte hain jo Dasne ke liye ai 'danish'
kya bataun ki ye sab sanp hain pale mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.