meri diwangi nahin jati
merī dīvāngī nahīñ jaatī
ro rahā huuñ hañsī nahīñ jaatī
tere jalvoñ se āshkārā huuñ
chāñd kī chāñdnī nahīñ jaatī
tark-e-mai hī samajh le ai nāseh
itnī pī hai ki pī nahīñ jaatī
jab se dekhā hai un ko be-parda
naḳhvat-e-āgahī nahīñ jaatī
shoḳhī-e-husn-e-be-amāñ kī qasam
husn kī sādgī nahīñ jaatī
un kī dariyā-dilī ko kyā kahiye
merī tishna-labī nahīñ jaatī
meri diwangi nahin jati
ro raha hun hansi nahin jati
tere jalwon se aashkara hun
chand ki chandni nahin jati
tark-e-mai hi samajh le ai naseh
itni pi hai ki pi nahin jati
jab se dekha hai un ko be-parda
naKHwat-e-agahi nahin jati
shoKHi-e-husn-e-be-aman ki qasam
husn ki sadgi nahin jati
un ki dariya-dili ko kya kahiye
meri tishna-labi nahin jati
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 249)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.