meri duniya sang-o-ahan unki duniya chand-sitare
merī duniyā sañg-o-āhan un kī duniyā chāñd-sitāre
aql kahāñ tak dāman khīñche ishq kahāñ tak haath pasāre
apnī apnī dhun meñ magan haiñ shāmoñ sub.hoñ ke matvāle
sub.h ke aañsū kaun sukhā.e raat ke gesū kaun sañvāre
ābla-pā rahgīroñ ko jharnoñ se dil bahlāne bhī de
azm-e-javāñ ko aur javāñ kar apnī manzil duur hai pyāre
chham chham chham chham nāchtī maujeñ ye sargoshī kartī jaa.eñ
tūfānoñ kī raah takeñge kab tak ye majbūr kināre
'nūr' aqīdoñ ke sho.aloñ meñ rūheñ jaltī dekh chukī haiñ
tum bhī batāo in āñkhoñ se aañsū Tapkeñ yā añgāre
meri duniya sang-o-ahan un ki duniya chand-sitare
aql kahan tak daman khinche ishq kahan tak hath pasare
apni apni dhun mein magan hain shamon subhon ke matwale
subh ke aansu kaun sukhae raat ke gesu kaun sanware
aabla-pa rahgiron ko jharnon se dil bahlane bhi de
azm-e-jawan ko aur jawan kar apni manzil dur hai pyare
chham chham chham chham nachti maujen ye sargoshi karti jaen
tufanon ki rah takenge kab tak ye majbur kinare
'nur' aqidon ke shoalon mein ruhen jalti dekh chuki hain
tum bhi batao in aankhon se aansu Tapken ya angare
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 371)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.