meri fariyaad ke shoalon ko inayat samjho
merī fariyād ke sho.aloñ ko ināyat samjho
mere har zaḳhm ko ulfat kī rivāyat samjho
ek majbūr-e-tamannā kī girāñ-bār thakan
maiñ ne kab tum se kahā ye ise ulfat samjho
lazzat-e-ġham meñ nahīñ ḳhūn-e-tamannā kā ilaaj
mirī har Tiis ko ḳhāmosh baġhāvat samjho
ye girāñ-bārī-e-ehsās mirī mash.al hai
merī fariyād ko tum ek hidāyat samjho
ek mujrim hai jise kahte haiñ insān kā dil
is nadāmat ko mirī ek shikāyat samjho
meri fariyaad ke shoalon ko inayat samjho
mere har zaKHm ko ulfat ki riwayat samjho
ek majbur-e-tamanna ki giran-bar thakan
main ne kab tum se kaha ye ise ulfat samjho
lazzat-e-gham mein nahin KHun-e-tamanna ka ilaj
meri har Tis ko KHamosh baghawat samjho
ye giran-bari-e-ehsas meri mashal hai
meri fariyaad ko tum ek hidayat samjho
ek mujrim hai jise kahte hain insan ka dil
is nadamat ko meri ek shikayat samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.