meri jaan wo baada-KHwari yaad hai
merī jaañ vo bāda-ḳhvārī yaad hai
vaqt-e-mastī girya-zārī yaad hai
motiyā kā haar o champā kī chhaḌī
joḌā-e-dāman-kinārī yaad hai
sab abhūkan tere tan par ḳhushnumā
ḳhūbī-e-añgiyā o saarī yaad hai
abr kā saaya o sabza raah kā
jān-e-man rath kī savārī yaad hai
ko.elāñ ke naale amrā.ī ke biich
us samay kī be-qarārī yaad hai
meñh bī to Tapkatā thā buuñd buuñd
'fā.ez' us din kī savārī yaad hai
meri jaan wo baada-KHwari yaad hai
waqt-e-masti girya-zari yaad hai
motiya ka haar o champa ki chhaDi
joDa-e-daman-kinari yaad hai
sab abhukan tere tan par KHushnuma
KHubi-e-angiya o sari yaad hai
abr ka saya o sabza rah ka
jaan-e-man rath ki sawari yaad hai
koelan ke nale amrai ke bich
us samay ki be-qarari yaad hai
meinh bi to Tapkata tha bund bund
'faez' us din ki sawari yaad hai
- Book : Intekhab Kalam (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.