meri judaiyon se wo mil kar nahin gaya
merī judā.iyoñ se vo mil kar nahīñ gayā
us ke baġhair maiñ bhī koī mar nahīñ gayā
duniyā meñ ghuum phir ke bhī aise lagā mujhe
jaise maiñ apnī zaat se bāhar nahīñ gayā
kyā ḳhuub haiñ hamārī taraqqī-pasañdiyāñ
ziine banā liye koī uupar nahīñ gayā
juġhrāfi.e ne kaaT diye rāste mire
tārīḳh ko gila hai ki maiñ ghar nahīñ gayā
aisī koī ajiib imārat thī zindagī
bāhar se jhāñktā rahā andar nahīñ gayā
Daalā na dostoñ ko kabhī imtihān meñ
sahrā meñ mere saath samundar nahīñ gayā
us vaqt tak sulagtī rahī us kī aarzū
jab tak dhueñ se saarā badan bhar nahīñ gayā
zillat ke bhaav bik ga.iiñ izzat-ma.ābiyāñ
dastār us kī jaatī rahī sar nahīñ gayā
ḳhvāhish havas ke ruup meñ achchhī nahīñ lagī
duniyā ko fat.h kar ke sikandar nahīñ gayā
kāñdhoñ pe apne log use le ga.e kahāñ
pairoñ se apne chal ke 'muzaffar' nahīñ gayā
meri judaiyon se wo mil kar nahin gaya
us ke baghair main bhi koi mar nahin gaya
duniya mein ghum phir ke bhi aise laga mujhe
jaise main apni zat se bahar nahin gaya
kya KHub hain hamari taraqqi-pasandiyan
zine bana liye koi upar nahin gaya
jughrafie ne kaT diye raste mere
tariKH ko gila hai ki main ghar nahin gaya
aisi koi ajib imarat thi zindagi
bahar se jhankta raha andar nahin gaya
Dala na doston ko kabhi imtihan mein
sahra mein mere sath samundar nahin gaya
us waqt tak sulagti rahi us ki aarzu
jab tak dhuen se sara badan bhar nahin gaya
zillat ke bhaw bik gain izzat-maabiyan
dastar us ki jati rahi sar nahin gaya
KHwahish hawas ke rup mein achchhi nahin lagi
duniya ko fath kar ke sikandar nahin gaya
kandhon pe apne log use le gae kahan
pairon se apne chal ke 'muzaffar' nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.