meri kashti ke baadban TuTe
merī kashtī ke bādbāñ TuuTe
nā-ḳhudāoñ pe āsmāñ TuuTe
vo jo sapne the mere bachpan ke
dekhiye aa ke vo kahāñ TuuTe
zindagī ke bharam the jitne bhī
sab ke sab aaj nā-gahāñ TuuTe
kaisī karvaT zamīn ne badlī
kachche pakke sabhī makāñ TuuTe
bol kitne mirī duāoñ ke
tere lahje se mehrbāñ TuuTe
yaad aatā hai TūTnā dil kā
jab koī barg-e-nā-tavāñ TuuTe
kis ko mālūm hai bhalā ai 'kañval'
Dor sāñsoñ kī kab kahāñ TuuTe
meri kashti ke baadban TuTe
na-KHudaon pe aasman TuTe
wo jo sapne the mere bachpan ke
dekhiye aa ke wo kahan TuTe
zindagi ke bharam the jitne bhi
sab ke sab aaj na-gahan TuTe
kaisi karwaT zamin ne badli
kachche pakke sabhi makan TuTe
bol kitne meri duaon ke
tere lahje se mehrban TuTe
yaad aata hai TuTna dil ka
jab koi barg-e-na-tawan TuTe
kis ko malum hai bhala ai 'kanwal'
Dor sanson ki kab kahan TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.